be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi
be-rañg baḌe shahr kī hastī bhī vahīñ thī
ik rañg uḌātī huī titlī bhī vahīñ thī
bāzār ke jaadū kī na thī kaaT mire paas
jo chiiz burī thī vahī achchhī bhī vahīñ thī
bas ik tirā chehra hī na thā mahfil-e-gul meñ
belā bhī thā champā bhī chamelī bhī vahīñ thī
is baaḌh meñ kartā thā jahāñ bhī maiñ kināra
andar se ubaltī mirī naddī bhī vahīñ thī
sailāb-e-badan us kā jo aayā to gayā maiñ
har chand mire jism kī kashtī bhī vahīñ thī
ai ishq jahāñ tū ne mujhe jam.a kiyā thā
miTTī mirī āḳhir ko bikharnī bhī vahīñ thī
afsos ga.ī qabr bhī 'ehsās'-miyāñ kī
ye qabr jahāñ thī mirī miTTī bhī vahīñ thī
be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi
ek rang uDati hui titli bhi wahin thi
bazar ke jadu ki na thi kaT mere pas
jo chiz buri thi wahi achchhi bhi wahin thi
bas ek tera chehra hi na tha mahfil-e-gul mein
bela bhi tha champa bhi chameli bhi wahin thi
is baDh mein karta tha jahan bhi main kinara
andar se ubalti meri naddi bhi wahin thi
sailab-e-badan us ka jo aaya to gaya main
har chand mere jism ki kashti bhi wahin thi
ai ishq jahan tu ne mujhe jama kiya tha
miTTi meri aaKHir ko bikharni bhi wahin thi
afsos gai qabr bhi 'ehsas'-miyan ki
ye qabr jahan thi meri miTTi bhi wahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.