be-rang be-nishan balaon ki zad mein hain
be-rang be-nishān balāoñ kī zad meñ haiñ
mere sabhī charāġh havāoñ kī zad meñ haiñ
bhīgī huī havā.eñ badan chūmne lagīñ
ab qāfile hamāre ghaTāoñ kī zad meñ haiñ
kaT kaT ke gir rahī haiñ laveñ jū-e-ḳhauf meñ
raushan charāġh tiira fazāoñ kī zad meñ haiñ
harf-e-ġhalat kī tarah miTe jaate haiñ nuqūsh
rāheñ tamām rāhnumāoñ kī zad meñ haiñ
bīnā.ī jā rahī hai mah-o-āftāb kī
ā.īne shash jihat ke ḳhalāoñ kī zad meñ haiñ
kashkol be-talab kī kashish kaam aa ga.ī
saare buland-o-past duāoñ kī zad meñ haiñ
hairat sulag rahī hai har ik shāḳh-e-dīd par
jangal tamām sho.ala-navāoñ kī zad meñ haiñ
'yāvar' mirī ye āñkheñ kisī ke jamāl kī
be-dāġh ujlī ujlī ridāoñ kī zad meñ haiñ
be-rang be-nishan balaon ki zad mein hain
mere sabhi charagh hawaon ki zad mein hain
bhigi hui hawaen badan chumne lagin
ab qafile hamare ghaTaon ki zad mein hain
kaT kaT ke gir rahi hain lawen ju-e-KHauf mein
raushan charagh tera fazaon ki zad mein hain
harf-e-ghalat ki tarah miTe jate hain nuqush
rahen tamam rahnumaon ki zad mein hain
binai ja rahi hai mah-o-aftab ki
aaine shash jihat ke KHalaon ki zad mein hain
kashkol be-talab ki kashish kaam aa gai
sare buland-o-past duaon ki zad mein hain
hairat sulag rahi hai har ek shaKH-e-did par
jangal tamam shoala-nawaon ki zad mein hain
'yawar' meri ye aankhen kisi ke jamal ki
be-dagh ujli ujli ridaon ki zad mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.