be-ruKHi had se baDhi aur sirf itna hi nahin
be-ruḳhī had se baḌhī aur sirf itnā hī nahīñ
ab to ye 'ālam hai goyā rabt kuchh thā hī nahīñ
pūchhtī hai vo nazar kyā hai mohabbat kā ma.aal
be-ḳhudī-e-‘ishq kahtī hai ki sochā hī nahīñ
hāl-e-dil nāguftanī hai ham jo kahte bhī to kyā
phir bhī ġham ye hai ki us ne ham se pūchhā hī nahīñ
bazm-e-yārāñ meñ haiñ kyā kyā tazkire chup haiñ to ham
jaise vo husn-e-dil-ārā ham ne dekhā hī nahīñ
shikva-e-begāngī jin ko hai un se kyā kaheñ
iltifāt-e-dost kā maarā panaptā hī nahīñ
husn kī har kaj-adā.ī be-ruḳhī begāngī
sa’y-e-zabt-e-ārzū thī koī samjhā hī nahīñ
kyā shikāyat kījiye us bad-gumān-e-shauq se
vo hameñ apne vafādāroñ meñ gintā hī nahīñ
saare shikve sab gile apnī jagah lekin 'salīm'
kis tarah kah duuñ ki us ko merī parvā hī nahīñ
be-ruKHi had se baDhi aur sirf itna hi nahin
ab to ye 'alam hai goya rabt kuchh tha hi nahin
puchhti hai wo nazar kya hai mohabbat ka maal
be-KHudi-e-‘ishq kahti hai ki socha hi nahin
haal-e-dil naguftani hai hum jo kahte bhi to kya
phir bhi gham ye hai ki us ne hum se puchha hi nahin
bazm-e-yaran mein hain kya kya tazkire chup hain to hum
jaise wo husn-e-dil-ara hum ne dekha hi nahin
shikwa-e-begangi jin ko hai un se kya kahen
iltifat-e-dost ka mara panapta hi nahin
husn ki har kaj-adai be-ruKHi begangi
sa’y-e-zabt-e-arzu thi koi samjha hi nahin
kya shikayat kijiye us bad-guman-e-shauq se
wo hamein apne wafadaron mein ginta hi nahin
sare shikwe sab gile apni jagah lekin 'salim'
kis tarah kah dun ki us ko meri parwa hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.