be-ruKHi ne uski mujhko kar diya mahfil se dur
be-ruKHi ne uski mujhko kar diya mahfil se dur
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
be-ruḳhī ne us kī mujh ko kar diyā mahfil se duur
vo hamāre dil meñ hai aur ham haiñ us ke dil se duur
umDe tūfānoñ meñ bhī hai kashtī-e-ulfat ravāñ
ham kabhī nazdīk hote haiñ kabhī sāhil se duur
ishq kī vaadī ko tai karnā koī āsāñ nahīñ
gāmzan paiham rahe phir bhī rahe manzil se duur
TukḌe TukḌe kar ke rakh dete haiñ ḳhanjar kī tarah
dil jigar ai logo rakhnā abrū-e-qātil se duur
bahr-e-ulfat kā kinārā ahl-e-dil nāpaid hai
jis ko sāhil samjhe ho vo mauj hai sāhil se duur
nit-na.ī dushvāriyāñ rāh-e-vafā meñ sah ke ham
chalte chalte thak ga.e jab phir na the manzil se duur
kahtā hai be-'aql nāseh ishq ko dīvāngī
ishq ke dīvāno rahnā naam ke 'āqil se duur
raqs-e-bismil kā tamāshā to kiyā hotā huzūr
kar ke bismil ho ga.e kis vāste bismil se duur
vo mohabbat karne vaale dil jo milte haiñ kabhī
laakh duniyā chāhe hote haiñ baḌī mushkil se duur
gar masīhā hote karte zaḳhm-e-dil kā kuchh ‘ilāj
aur zaḳhmī kar ke vo to ho ga.e ghā.il se duur
āstān-e-yār par pahuñchā talab jis dil meñ thī
dāman-e-mahbūb rahtā hai sadā ġhāfil se duur
dil 'fazā' kā bujh gayā andher duniyā ho ga.ī
ho gayā jis roz se vo us mah-e-kāmil se duur
be-ruKHi ne us ki mujh ko kar diya mahfil se dur
wo hamare dil mein hai aur hum hain us ke dil se dur
umDe tufanon mein bhi hai kashti-e-ulfat rawan
hum kabhi nazdik hote hain kabhi sahil se dur
ishq ki wadi ko tai karna koi aasan nahin
gamzan paiham rahe phir bhi rahe manzil se dur
TukDe TukDe kar ke rakh dete hain KHanjar ki tarah
dil jigar ai logo rakhna abru-e-qatil se dur
bahr-e-ulfat ka kinara ahl-e-dil napaid hai
jis ko sahil samjhe ho wo mauj hai sahil se dur
nit-nai dushwariyan rah-e-wafa mein sah ke hum
chalte chalte thak gae jab phir na the manzil se dur
kahta hai be-'aql naseh ishq ko diwangi
ishq ke diwano rahna nam ke 'aqil se dur
raqs-e-bismil ka tamasha to kiya hota huzur
kar ke bismil ho gae kis waste bismil se dur
wo mohabbat karne wale dil jo milte hain kabhi
lakh duniya chahe hote hain baDi mushkil se dur
gar masiha hote karte zaKHm-e-dil ka kuchh ‘ilaj
aur zaKHmi kar ke wo to ho gae ghail se dur
aastan-e-yar par pahuncha talab jis dil mein thi
daman-e-mahbub rahta hai sada ghafil se dur
dil 'faza' ka bujh gaya andher duniya ho gai
ho gaya jis roz se wo us mah-e-kaamil se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.