be-ruKHi o bewafa achchhi nahin
be-ruḳhī o bevafā achchhī nahīñ
dil-jaloñ kī badduā achchhī nahīñ
ġhair bhī to ishq kā bhartā hai dam
sirf ham par hī jafā achchhī nahīñ
dekh kar ġhamgīñ mujhe kahte haiñ vo
kyoñ tabī.at aaj kyā achchhī nahīñ
pahle hī dil un ke haiñ TuuTe hue
jāñ-nisāroñ se daġhā achchhī nahīñ
bosa lene par ḳhafā ho kar kahā
dekhiye aisī ḳhatā achchhī nahīñ
le ke dil karte ho vāpas kis liye
kyā sabab hai jins kyā achchhī nahīñ
phir vahī zikr-e-adū har baat meñ
aap kī bas ye adā achchhī nahīñ
kis liye karte ho parda vasl meñ
aise mauqoñ par hayā achchhī nahīñ
dil na maane to batāo kyā kareñ
ham ne maanā iltijā achchhī nahīñ
bhāñp jā.egā zamāna dekhiye
is qadar ham se hayā achchhī nahīñ
kyā zarūrat vo ḳharīdeñ kis liye
kahte haiñ jins-e-vafā achchhī nahīñ
rūThnā albatta kuchh dilchasp hai
yuuñ to koī bhī jafā achchhī nahīñ
raat din 'hājir' butoñ kā zikr ho
koī baat is ke sivā achchhī nahīñ
be-ruKHi o bewafa achchhi nahin
dil-jalon ki baddua achchhi nahin
ghair bhi to ishq ka bharta hai dam
sirf hum par hi jafa achchhi nahin
dekh kar ghamgin mujhe kahte hain wo
kyon tabiat aaj kya achchhi nahin
pahle hi dil un ke hain TuTe hue
jaan-nisaron se dagha achchhi nahin
bosa lene par KHafa ho kar kaha
dekhiye aisi KHata achchhi nahin
le ke dil karte ho wapas kis liye
kya sabab hai jins kya achchhi nahin
phir wahi zikr-e-adu har baat mein
aap ki bas ye ada achchhi nahin
kis liye karte ho parda wasl mein
aise mauqon par haya achchhi nahin
dil na mane to batao kya karen
hum ne mana iltija achchhi nahin
bhanp jaega zamana dekhiye
is qadar hum se haya achchhi nahin
kya zarurat wo KHariden kis liye
kahte hain jins-e-wafa achchhi nahin
ruThna albatta kuchh dilchasp hai
yun to koi bhi jafa achchhi nahin
raat din 'hajir' buton ka zikr ho
koi baat is ke siwa achchhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.