be-sabaati ke hain ya isbaat ke chaaron taraf
be-sabātī ke haiñ yā isbāt ke chāroñ taraf
shahr meñ charche haiñ ye kis baat ke chāroñ taraf
ek merī zaat se raushan hai vahshat kā makāñ
din ke hangāme haiñ raqsāñ raat ke chāroñ taraf
ek naḳhlistān bhī hotā hai sahrāoñ ke biich
kyā huā jo ġham haiñ merī zaat ke chāroñ taraf
maqtal-e-ehsās pe rakkhī haiñ do āñkheñ mirī
kitne lāshe haiñ javāñ jazbāt ke chāroñ taraf
makḌiyoñ ne bun diye jaale na jaane kis liye
kaun dushman hai yahāñ khañDarāt ke chāroñ taraf
ab bhī zinda haiñ yazīdī ab bhī tishna haiñ imaam
ab bhī dushman haiñ bahut sādāt ke chāroñ taraf
tum ko kyā ma.alūm tum phūloñ ke shaidā.ī 'ziyā'
koī sahrā bhī hai in bāġhāt ke chāroñ taraf
be-sabaati ke hain ya isbaat ke chaaron taraf
shahr mein charche hain ye kis baat ke chaaron taraf
ek meri zat se raushan hai wahshat ka makan
din ke hangame hain raqsan raat ke chaaron taraf
ek naKHlistan bhi hota hai sahraon ke bich
kya hua jo gham hain meri zat ke chaaron taraf
maqtal-e-ehsas pe rakkhi hain do aankhen meri
kitne lashe hain jawan jazbaat ke chaaron taraf
makDiyon ne bun diye jale na jaane kis liye
kaun dushman hai yahan khanDaraat ke chaaron taraf
ab bhi zinda hain yazidi ab bhi tishna hain imam
ab bhi dushman hain bahut sadat ke chaaron taraf
tum ko kya malum tum phulon ke shaidai 'ziya'
koi sahra bhi hai in baghat ke chaaron taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.