be-sabab dil ko dukhane ki zarurat kya hai
be-sabab dil ko dukhāne kī zarūrat kyā hai
chhoḌnā hai to bahāne kī zarūrat kyā hai
aa gayā chāñd mirā aaj mirī mahfil meñ
ab charāġhoñ ko jalāne kī zarūrat kyā hai
kūche kūche pe mile terā nayā dīvāna
ab tujhe yaar purāne kī zarūrat kyā hai
mujh ko mil jaa.e tirā saath yahī kaafī hai
phir mujhe saare zamāne kī zarūrat kyā hai
'aks rahtā hai 'jamāl' us kā mirī āñkhoñ meñ
us kī tasvīr banāne kī zarūrat kyā hai
be-sabab dil ko dukhane ki zarurat kya hai
chhoDna hai to bahane ki zarurat kya hai
aa gaya chand mera aaj meri mahfil mein
ab charaghon ko jalane ki zarurat kya hai
kuche kuche pe mile tera naya diwana
ab tujhe yar purane ki zarurat kya hai
mujh ko mil jae tera sath yahi kafi hai
phir mujhe sare zamane ki zarurat kya hai
'aks rahta hai 'jamal' us ka meri aankhon mein
us ki taswir banane ki zarurat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.