be-sabab humse wo ho kar jo KHafa baiThe hain
be-sabab humse wo ho kar jo KHafa baiThe hain
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
be-sabab ham se vo ho kar jo ḳhafā baiThe haiñ
ham bhī dil un kī taraf se ab uThā baiThe haiñ
kar liyā karte haiñ ka.abe ko usī jā se salām
ai sanam jab se tire kūche meñ aa baiThe haiñ
kufr-o-islām ke jhagḌe se rihā.ī paa.ī
jab se dil ik but-e-kāfir se lagā baiThe haiñ
kyā hī ārām kī jā shahr-e-ḳhamoshāñ hai vo
amn meñ haiñ jo yahāñ chain se aa baiThe haiñ
naak meñ kashmakash-e-shaiḳh-o-barahman se hai dam
ka.aba-o-dair se ham haath uThā baiThe haiñ
vo hameñ jald kareñ qatl ḳhudā de taufīq
ham bahut roz se jiine se ḳhafā baiThe haiñ
sadma-e-dāġh-e-azīzāñ na uThāne paa.e
kyā hī ḳhush haiñ jo vahāñ pahle se jā baiThe haiñ
ai falak ham kahīñ dabte haiñ tire jauroñ se
ham uThā.e hue ik but kī jafā baiThe haiñ
chaliye to le chaleñ hāthoñ pe phapole kī tarah
kyā huā mehdī agar aap lagā baiThe haiñ
ek saa.at tirī jānib se nahīñ muñh phirtā
apne ghar meñ sifat-e-qibla-numā baiThe haiñ
ishq kī bādiya-paimā.ī hai takmīl 'akbar'
toḌ kar paañv bhalā aap ye kyā baiThe haiñ
be-sabab hum se wo ho kar jo KHafa baiThe hain
hum bhi dil un ki taraf se ab uTha baiThe hain
kar liya karte hain kabe ko usi ja se salam
ai sanam jab se tere kuche mein aa baiThe hain
kufr-o-islam ke jhagDe se rihai pai
jab se dil ek but-e-kafir se laga baiThe hain
kya hi aaram ki ja shahr-e-KHamoshan hai wo
amn mein hain jo yahan chain se aa baiThe hain
nak mein kashmakash-e-shaiKH-o-barahman se hai dam
kaba-o-dair se hum hath uTha baiThe hain
wo hamein jald karen qatl KHuda de taufiq
hum bahut roz se jine se KHafa baiThe hain
sadma-e-dagh-e-azizan na uThane pae
kya hi KHush hain jo wahan pahle se ja baiThe hain
ai falak hum kahin dabte hain tere jauron se
hum uThae hue ek but ki jafa baiThe hain
chaliye to le chalen hathon pe phapole ki tarah
kya hua mehdi agar aap laga baiThe hain
ek saat teri jaanib se nahin munh phirta
apne ghar mein sifat-e-qibla-numa baiThe hain
ishq ki baadiya-paimai hai takmil 'akbar'
toD kar panw bhala aap ye kya baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.