be-sabab hi jaane kis kis ko KHafa karte rahe
be-sabab hī jaane kis kis ko ḳhafā karte rahe
kyoñ kisī ke rū-ba-rū ham aa.ina karte rahe
log tadbīroñ se hangāme bapā karte rahe
aur ham jabr-e-mashiyyat kā gila karte rahe
vaa.e majbūrī ki hoñToñ par na aa.ī dil kī baat
laakh ham sa.ī-e-bayān-e-mudda.ā karte rahe
ġhāliban ye bhī hamārā imtihāñ thā bazm meñ
log rah rah kar tumhārā tazkira karte rahe
un kī ḳhātir is takalluf kī kisī ko kyā ḳhabar
kis liye apne lahū ko ham hinā karte rahe
har nafas ke saath juuñ juuñ umr kam hotī ga.ī
muḳhtasar ham zindagī kā rāsta karte rahe
aur bhī dushvār ab ḳhud ko samajhnā ho gayā
hosh ke aalam se 'afzal' ham bhī kyā karte rahe
be-sabab hi jaane kis kis ko KHafa karte rahe
kyon kisi ke ru-ba-ru hum aaina karte rahe
log tadbiron se hangame bapa karte rahe
aur hum jabr-e-mashiyyat ka gila karte rahe
wae majburi ki honTon par na aai dil ki baat
lakh hum sai-e-bayan-e-muddaa karte rahe
ghaaliban ye bhi hamara imtihan tha bazm mein
log rah rah kar tumhaara tazkira karte rahe
un ki KHatir is takalluf ki kisi ko kya KHabar
kis liye apne lahu ko hum hina karte rahe
har nafas ke sath jun jun umr kam hoti gai
muKHtasar hum zindagi ka rasta karte rahe
aur bhi dushwar ab KHud ko samajhna ho gaya
hosh ke aalam se 'afzal' hum bhi kya karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.