be-sabab in dinon mujhse naraaz hai
be-sabab in dinon mujhse naraaz hai
Manik Vishwakarma Navrang
MORE BYManik Vishwakarma Navrang
be-sabab in dinoñ mujh se nārāz hai
jāntā huuñ maiñ ye us kā andāz hai
pūchhtī hai sabhī se Thikānā mirā
us kī dīvāngī par mujhe naaz hai
āzmāyā hai maiñ ne sabhī ko yahāñ
us ke jaisā na koī bhī dam-sāz hai
chāhtā huuñ na bolūñ maiñ kuchh bhī use
bhāñp letī hai chehra nazar-bāz hai
māntī hai mujhe maiñ kahīñ bhī rahūñ
ham-safar ham-nashīñ merī ham-rāz hai
log kahte haiñ sajne sañvarne lagī
baa'd muddat ke āñkhoñ meñ parvāz hai
be-sabab in dinon mujh se naraaz hai
jaanta hun main ye us ka andaz hai
puchhti hai sabhi se Thikana mera
us ki diwangi par mujhe naz hai
aazmaya hai main ne sabhi ko yahan
us ke jaisa na koi bhi dam-saz hai
chahta hun na bolun main kuchh bhi use
bhanp leti hai chehra nazar-baz hai
manti hai mujhe main kahin bhi rahun
ham-safar ham-nashin meri ham-raaz hai
log kahte hain sajne sanwarne lagi
ba'd muddat ke aankhon mein parwaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.