be-sabab ji se guzarna nahin achchha hota
be-sabab jī se guzarnā nahīñ achchhā hotā
maut se pahle bhī marnā nahīñ achchhā hotā
baat ho koī to insān bigaḌ bhī jaa.e
vahm-e-bejā pe bipharnā nahīñ achchhā hotā
sabr se baiTh agar tāqat-e-parvāz nahīñ
shikva-e-be-parī karnā nahīñ achchhā hotā
marnā un kā hai jo auroñ ke liye marte haiñ
apne hī vāste marnā nahīñ achchhā hotā
aap sachche haiñ to kuchh pās-e-zabāñ bhī rakhiye
karke va.ada to mukarnā nahīñ achchhā hotā
aadmī apnī hadoñ hī meñ rahe behtar hai
sar se paanī kā guzarnā nahīñ achchhā hotā
fikr-e-uqbā bhī to lāzim hai kabhī ai nādāñ
fikr-e-hastī hī meñ marnā nahīñ achchhā hotā
maut ko khel samajhnā bhī hai ik nādānī
ziist se pyaar bhī karnā nahīñ achchhā hotā
baat to jab hai ki āsūda-e-manzil hoñ bhī
yaar tanhā to utarnā nahīñ achchhā hotā
had koī 'sehr' huā kartī hai zabt-e-ġham kī
yūñhī ghuT-ghuT ke to marnā nahīñ achchhā hotā
be-sabab ji se guzarna nahin achchha hota
maut se pahle bhi marna nahin achchha hota
baat ho koi to insan bigaD bhi jae
wahm-e-beja pe bipharna nahin achchha hota
sabr se baiTh agar taqat-e-parwaz nahin
shikwa-e-be-pari karna nahin achchha hota
marna un ka hai jo auron ke liye marte hain
apne hi waste marna nahin achchha hota
aap sachche hain to kuchh pas-e-zaban bhi rakhiye
karke wada to mukarna nahin achchha hota
aadmi apni hadon hi mein rahe behtar hai
sar se pani ka guzarna nahin achchha hota
fikr-e-uqba bhi to lazim hai kabhi ai nadan
fikr-e-hasti hi mein marna nahin achchha hota
maut ko khel samajhna bhi hai ek nadani
zist se pyar bhi karna nahin achchha hota
baat to jab hai ki aasuda-e-manzil hon bhi
yar tanha to utarna nahin achchha hota
had koi 'sehr' hua karti hai zabt-e-gham ki
yunhi ghuT-ghuT ke to marna nahin achchha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.