be-sabab koi fariza nahin achchha hota
be-sabab koi fariza nahin achchha hota
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
be-sabab koī farīza nahīñ achchhā hotā
jald-bāzī kā natīja nahīñ achchhā hotā
ḳhuun ke rishte muqaddas haiñ magar duniyā meñ
dostī se koī rishta nahīñ achchhā hotā
ye buzurgoñ kī nasīhat hai ise yaad rakho
ghar ke āñgan meñ tamāshā nahīñ achchhā hotā
iḳhtilāfāt kī qadreñ bhī muayyan kiije
had se baḌh kar koī fitna nahīñ achchhā hotā
zindagī ke to ka.ī aur bhī ruḳh haiñ sāhab
rāt-din ek hī qissa nahīñ achchhā hotā
ghar kī ta.amīr kī tadbīr karo kuchh 'rāhī'
sirf kāġhaz hī pe naqsha nahīñ achchhā hotā
be-sabab koi fariza nahin achchha hota
jald-bazi ka natija nahin achchha hota
KHun ke rishte muqaddas hain magar duniya mein
dosti se koi rishta nahin achchha hota
ye buzurgon ki nasihat hai ise yaad rakho
ghar ke aangan mein tamasha nahin achchha hota
iKHtilafat ki qadren bhi muayyan kije
had se baDh kar koi fitna nahin achchha hota
zindagi ke to kai aur bhi ruKH hain sahab
raat-din ek hi qissa nahin achchha hota
ghar ki tamir ki tadbir karo kuchh 'rahi'
sirf kaghaz hi pe naqsha nahin achchha hota
- Book : سائبان غزل (Pg. 52)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.