be-sabab Thik nahin ghar se nikal kar jaana
be-sabab Thiik nahīñ ghar se nikal kar jaanā
justujū ho koī dil meñ to safar par jaanā
din ke tapte hue mausam meñ bhaTaknā har-sū
shaam aa.e to parindoñ kī tarah ghar jaanā
har guzarte hue be-rañg se mausam ke liye
ik na.ī rut ke na.e phuul yahāñ dhar jaanā
log jaltā huā ghar dekh ke ḳhush hote haiñ
aur ham ne use ab apnā muqaddar jaanā
zehn maflūj to afkār haiñ āseb-zada
ye bhī kyā vaqt hai har baat pe Dar Dar jaanā
sā.ebāñ āb-e-ravāñ phuul bahāreñ ḳhushbū
in sarāboñ se har ik gaam hai bach kar jaanā
us kī palkoñ pe chamak uTThe haiñ jab bhī aañsū
qatre qatre ko mire dil ne samundar jaanā
be-sabab Thik nahin ghar se nikal kar jaana
justuju ho koi dil mein to safar par jaana
din ke tapte hue mausam mein bhaTakna har-su
sham aae to parindon ki tarah ghar jaana
har guzarte hue be-rang se mausam ke liye
ek nai rut ke nae phul yahan dhar jaana
log jalta hua ghar dekh ke KHush hote hain
aur hum ne use ab apna muqaddar jaana
zehn mafluj to afkar hain aaseb-zada
ye bhi kya waqt hai har baat pe Dar Dar jaana
saeban aab-e-rawan phul bahaaren KHushbu
in sarabon se har ek gam hai bach kar jaana
us ki palkon pe chamak uTThe hain jab bhi aansu
qatre qatre ko mere dil ne samundar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.