be-samt masafat se mafar hai ki nahin hai
be-samt masāfat se mafar hai ki nahīñ hai
manzil bhī koī pesh-e-nazar hai ki nahīñ hai
ghar chhoḌ diyā phir bhī yahī soch rahā huuñ
raste meñ kahīñ koī shajar hai ki nahīñ hai
vaise to mirā us se hai derīna ta'alluq
ye baat use yaad magar hai ki nahīñ hai
maiñ apne safīne ko idhar Daal rahā huuñ
dariyā tire siine meñ bhañvar hai ki nahīñ hai
is shahr ne dekhī to na thī aisī siyāhī
is shahr kī qismat meñ sahar hai ki nahīñ hai
jis baat kā charchā hai yahāñ sab kī zabāñ par
us baat kī kuchh us ko ḳhabar hai ki nahīñ hai
be-samt masafat se mafar hai ki nahin hai
manzil bhi koi pesh-e-nazar hai ki nahin hai
ghar chhoD diya phir bhi yahi soch raha hun
raste mein kahin koi shajar hai ki nahin hai
waise to mera us se hai derina ta'alluq
ye baat use yaad magar hai ki nahin hai
main apne safine ko idhar Dal raha hun
dariya tere sine mein bhanwar hai ki nahin hai
is shahr ne dekhi to na thi aisi siyahi
is shahr ki qismat mein sahar hai ki nahin hai
jis baat ka charcha hai yahan sab ki zaban par
us baat ki kuchh us ko KHabar hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.