be-shaghl na zindagi basar kar
be-shaġhl na zindagī basar kar
gar ashk nahīñ to aah sar kar
de tūl-e-amal na vaqt-e-pīrī
huī sub.h fasāna muḳhtasar kar
kuchh turfa maraz hai zindagī bhī
is se jo koī chhuTā so mar kar
kā'ba ke safar meñ kyā hai zāhid
ban jaa.e to aap se safar kar
kyā dekhe hai aa.ine ko pyāre
īdhar bhī to ek dam nazar kar
vo bā.is-e-zīst shāyad aa jaa.e
ai jaan tū jā.iyo Thahar kar
fursat hai ġhanīmat aaj ġhāfil
jo ho sake naf' yā zarar kar
ye dahr hai kārgāh-e-mīnā
jo paañv rakkhe tū yaañ so Dar kar
tā'mīr pe ghar kī mar na ai dil
'qā.em' kī tarah diloñ meñ ghar kar
be-shaghl na zindagi basar kar
gar ashk nahin to aah sar kar
de tul-e-amal na waqt-e-piri
hui subh fasana muKHtasar kar
kuchh turfa maraz hai zindagi bhi
is se jo koi chhuTa so mar kar
ka'ba ke safar mein kya hai zahid
ban jae to aap se safar kar
kya dekhe hai aaine ko pyare
idhar bhi to ek dam nazar kar
wo bais-e-zist shayad aa jae
ai jaan tu jaiyo Thahar kar
fursat hai ghanimat aaj ghafil
jo ho sake naf' ya zarar kar
ye dahr hai kargah-e-mina
jo panw rakkhe tu yan so Dar kar
ta'mir pe ghar ki mar na ai dil
'qaem' ki tarah dilon mein ghar kar
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.