be-sud hai ye josh-e-girya ai shama sahar ho jaane tak
be-sud hai ye josh-e-girya ai shama sahar ho jaane tak
Dil Shahjahanpuri
MORE BYDil Shahjahanpuri
be-sūd hai ye josh-e-girya ai sham.a sahar ho jaane tak
chhīñTā tire ashk-e-paiham kā pahuñchā na kabhī parvāne tak
ai ahl-e-nazar merī hastī sab kuchh thī kabhī ab kuchh bhī nahīñ
zinda huuñ magar mehmān-e-baqā ik saañs ke aane jaane tak
haañ ġhaur se ik ḳhuddār nazar apne hī garebāñ par nāseh
kyā jaane rahegā kis had meñ dīvāna tire samjhāne tak
ai ḳhāk-e-pareshāñ ke zarro āġhosh meñ tum mujh ko le lo
tamkīn-o-ḳhudī ko Thukrātā pahuñchā huuñ maiñ vīrāne tak
āshufta nizām-e-hastī hai kuchh aur na barham ho jaa.e
mashshsāta-e-fitrat ke hāthoñ gesū-e-butāñ suljhāne tak
va.ada hai magar kis aalam meñ ik shoḳh-e-taġhāful fitrat kā
jab laila-e-shab ke bal khāte gesū utar aa.eñ shāne tak
be-sud hai ye josh-e-girya ai shama sahar ho jaane tak
chhinTa tere ashk-e-paiham ka pahuncha na kabhi parwane tak
ai ahl-e-nazar meri hasti sab kuchh thi kabhi ab kuchh bhi nahin
zinda hun magar mehman-e-baqa ek sans ke aane jaane tak
han ghaur se ek KHuddar nazar apne hi gareban par naseh
kya jaane rahega kis had mein diwana tere samjhane tak
ai KHak-e-pareshan ke zarro aaghosh mein tum mujh ko le lo
tamkin-o-KHudi ko Thukraata pahuncha hun main virane tak
aashufta nizam-e-hasti hai kuchh aur na barham ho jae
mashshsata-e-fitrat ke hathon gesu-e-butan suljhane tak
wada hai magar kis aalam mein ek shoKH-e-taghaful fitrat ka
jab laila-e-shab ke bal khate gesu utar aaen shane tak
- Book : Nuqush 83, 84 (Pg. 98 (e)101 )
- Author : Mohammad Tufail
- Publication : Idara Farogh-e-Urdu Lahauri (August 1960)
- Edition : August 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.