be-tab si ek zindagi-e-ishq basar ki
be-tāb sī ik zindagī-e-ishq basar kī
allah rī ishārat tirī duzdīda nazar kī
sad jalva-e-rangīñ meñ tujhe dekhā hai maiñ ne
khātā huuñ qasam dilkashī-e-shām-o-sahar kī
jis sajde se raushan thā siyah-ḳhāna-e-hastī
phir mujh ko tamanna hai usī sajda-e-dar kī
be-bahra hai tū āgahī-e-kaif-e-ajal se
taqlīd to kar zindagī-e-barq-o-sharar kī
thī ishq meñ 'sāqib' ġham-e-kaunain kā hāsil
vo hijr kī shab maiñ ne taḌap kar jo basar kī
be-tab si ek zindagi-e-ishq basar ki
allah ri ishaarat teri duzdida nazar ki
sad jalwa-e-rangin mein tujhe dekha hai main ne
khata hun qasam dilkashi-e-sham-o-sahar ki
jis sajde se raushan tha siyah-KHana-e-hasti
phir mujh ko tamanna hai usi sajda-e-dar ki
be-bahra hai tu aagahi-e-kaif-e-ajal se
taqlid to kar zindagi-e-barq-o-sharar ki
thi ishq mein 'saqib' gham-e-kaunain ka hasil
wo hijr ki shab main ne taDap kar jo basar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.