be-tabiyon mein ashkon mein nalon mein ghir gae
be-tābiyoñ meñ ashkoñ meñ nāloñ meñ ghir ga.e
yā'nī ham apne chāhne vāloñ meñ ghir ga.e
aayā na ḳhvāb meñ bhī kabhī apnā kuchh ḳhayāl
ham is qadar añdheroñ ujāloñ meñ ghir ga.e
sab ahl-e-zarf rāh-e-'amal par hue ravāñ
kam-zarf idhar udhar ke ḳhayāloñ meñ ghir ga.e
un ke qadam na chuum sakīñ manzileñ kabhī
raahī jo apne paañv ke chhāloñ meñ ghir ga.e
un ko ḳhushī maiñ un kī mohabbat meñ qaid huuñ
mujh ko ḳhushī vo mere ḳhayāloñ meñ ghir ga.e
jin ko nasīb ho na sakeñ dil kī mastiyāñ
vo bad-nasīb mai ke piyāloñ meñ ghir ga.e
ik pal bhī rah sake na akele ham ai 'jigar'
nikle jo bhiiḌ se to ḳhayāloñ meñ ghir ga.e
be-tabiyon mein ashkon mein nalon mein ghir gae
ya'ni hum apne chahne walon mein ghir gae
aaya na KHwab mein bhi kabhi apna kuchh KHayal
hum is qadar andheron ujalon mein ghir gae
sab ahl-e-zarf rah-e-'amal par hue rawan
kam-zarf idhar udhar ke KHayalon mein ghir gae
un ke qadam na chum sakin manzilen kabhi
rahi jo apne panw ke chhaalon mein ghir gae
un ko KHushi main un ki mohabbat mein qaid hun
mujh ko KHushi wo mere KHayalon mein ghir gae
jin ko nasib ho na saken dil ki mastiyan
wo bad-nasib mai ke piyalon mein ghir gae
ek pal bhi rah sake na akele hum ai 'jigar'
nikle jo bhiD se to KHayalon mein ghir gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.