be-tah meri nazar hai ki KHud kam-nazar hun main
be-tah meri nazar hai ki KHud kam-nazar hun main
Amjed Ashraf Malla
MORE BYAmjed Ashraf Malla
be-tah mirī nazar hai ki ḳhud kam-nazar huuñ maiñ
az-bas isī ḳhayāl se zer-o-zabar huuñ maiñ
jis ko gumān hai ki maiñ huuñ sāhib-e-kamāl
us ko ḳhabar nahīñ ki bahut be-ḳhabar huuñ maiñ
farmān-e-dīd dil ko duuñ yā duuñ dimāġh ko
is baat kī samajh se abhī dūr-tar huuñ maiñ
zāhir meñ ḳhāmushī ke kisī shai meñ huuñ Dhalā
dar-asl apne aap meñ ik shor-o-shar huuñ maiñ
raushan huā ye mere suḳhan se jahān par
is daur-e-mashq-e-jaur kā ik nauhagar huuñ maiñ
taqdīr apnī mujh ko na aa.ī sañvārnī
lekin ba-zo.am-e-āp baḌā zī hunar huuñ maiñ
ai rabb-e-zul-jalāl mujhe baḳhsh āgahī
duniyā ke pech-o-ḳham meñ ulajh kar kidhar huuñ maiñ
'amjad' pe ho karam kī nazar mālik-e-jahāñ
terī atā se ḳhuub se bhī ḳhūb-tar huuñ maiñ
be-tah meri nazar hai ki KHud kam-nazar hun main
az-bas isi KHayal se zer-o-zabar hun main
jis ko guman hai ki main hun sahib-e-kamal
us ko KHabar nahin ki bahut be-KHabar hun main
farman-e-did dil ko dun ya dun dimagh ko
is baat ki samajh se abhi dur-tar hun main
zahir mein KHamushi ke kisi shai mein hun Dhala
dar-asl apne aap mein ek shor-o-shar hun main
raushan hua ye mere suKHan se jahan par
is daur-e-mashq-e-jaur ka ek nauhagar hun main
taqdir apni mujh ko na aai sanwarni
lekin ba-zoam-e-ap baDa zi hunar hun main
ai rabb-e-zul-jalal mujhe baKHsh aagahi
duniya ke pech-o-KHam mein ulajh kar kidhar hun main
'amjad' pe ho karam ki nazar malik-e-jahan
teri ata se KHub se bhi KHub-tar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.