be-talab zist agarche koi dushwar nahin
be-talab ziist agarche koī dushvār nahīñ
kaun aisā hai jo duniyā kā talabgār nahīñ
mahfil-e-ġhair meñ kar hāl-e-dil un se na bayāñ
mauqa-e-zabt hai ye mauqa-e-iz.hār nahīñ
dost ahbāb kā kyā zikr bure vaqtoñ meñ
maut bhī to kisī be-kas kī taraf-dār nahīñ
vaqt ke saath badaltā hai azā.em apne
ya.anī insān ḳhud apnā hī vafādār nahīñ
had se zaa.id kabhī baḌhtā hai kabhī hotā hai kam
dil hai ḳhuddār magar dard hī ḳhuddār nahīñ
kal to TuuTe hue dil bech liye yāroñ ne
aaj kā vaqt to yūsuf kā ḳharīdār nahīñ
ḳhār-o-gul hasb-e-zarūrat haiñ chaman meñ 'akmal'
fitratoñ se mujhe kuchh un kī sarokār nahīñ
be-talab zist agarche koi dushwar nahin
kaun aisa hai jo duniya ka talabgar nahin
mahfil-e-ghair mein kar haal-e-dil un se na bayan
mauqa-e-zabt hai ye mauqa-e-izhaar nahin
dost ahbab ka kya zikr bure waqton mein
maut bhi to kisi be-kas ki taraf-dar nahin
waqt ke sath badalta hai azaem apne
yani insan KHud apna hi wafadar nahin
had se zaid kabhi baDhta hai kabhi hota hai kam
dil hai KHuddar magar dard hi KHuddar nahin
kal to TuTe hue dil bech liye yaron ne
aaj ka waqt to yusuf ka KHaridar nahin
KHar-o-gul hasb-e-zarurat hain chaman mein 'akmal'
fitraton se mujhe kuchh un ki sarokar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.