be tere jaan na thi jaan meri jaan ke bich
be tere jaan na thi jaan meri jaan ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
be tire jaan na thī jaan mirī jaan ke biich
aan kar phir ke jalāyā tū mujhe aan ke biich
ek din haath lagāyā thā tire dāman ko
ab talak sar hai ḳhajālat se garebān ke biich
tū ne dekhā na kabhī pyaar kī nazroñ se mujhe
jī nikal jā.egā merā isī armān ke biich
aaj āshiq ke ta.iiñ kyuuñ na kahe tū dur dur
vāsta ye hai ki motī hai tire kaan ke biich
huī zabāñ laal tire haath se khā ke biiḌā
kyā fusūñ paḌh ke khilāyā thā mujhe paan ke biich
kuchh to majnūñ ko halāvat hai vahāñ dīvāno
chhoḌ shahroñ ko jo phirtā hai bayābān ke biich
dekh 'hātim' ko bhalā tū ne burā kyuuñ maanā
kyā ḳhalal us ne kiyā aa ke tirī shaan ke biich
be tere jaan na thi jaan meri jaan ke bich
aan kar phir ke jalaya tu mujhe aan ke bich
ek din hath lagaya tha tere daman ko
ab talak sar hai KHajalat se gareban ke bich
tu ne dekha na kabhi pyar ki nazron se mujhe
ji nikal jaega mera isi arman ke bich
aaj aashiq ke tain kyun na kahe tu dur dur
wasta ye hai ki moti hai tere kan ke bich
hui zaban lal tere hath se kha ke biDa
kya fusun paDh ke khilaya tha mujhe pan ke bich
kuchh to majnun ko halawat hai wahan diwano
chhoD shahron ko jo phirta hai bayaban ke bich
dekh 'hatim' ko bhala tu ne bura kyun mana
kya KHalal us ne kiya aa ke teri shan ke bich
- Book : Diwan Zadah (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.