be-tire lutf-e-bagh bhi na raha
be-tire lutf-e-bāġh bhī na rahā
vo mizāj-o-dimāġh bhī na rahā
ik tirā saath ham se kyā chhūTā
zindagī kā surāġh bhī na rahā
jis se rindī mirī muqaddas thī
aañkh kā vo ayāġh bhī na rahā
ek dil kā charāġh raushan thā
haa.e ab vo charāġh bhī na rahā
alvidā.a ai sukūn-e-qalb-o-nazar
vo jahān-e-farāġh bhī na rahā
vaqt ne zaḳhm bhar diye saare
biitī yādoñ kā daaġh bhī na rahā
be-tire lutf-e-bagh bhi na raha
wo mizaj-o-dimagh bhi na raha
ek tera sath hum se kya chhuTa
zindagi ka suragh bhi na raha
jis se rindi meri muqaddas thi
aankh ka wo ayagh bhi na raha
ek dil ka charagh raushan tha
hae ab wo charagh bhi na raha
alwidaa ai sukun-e-qalb-o-nazar
wo jahan-e-faragh bhi na raha
waqt ne zaKHm bhar diye sare
biti yaadon ka dagh bhi na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.