be-wajah dar khaTkhaTaya aapne
be-vajah dar khaTkhaTāyā aap ne
so rahe the ham jagāyā aap ne
jis jagah jhukne ko dil raazī na thā
kyoñ vahāñ sar ko jhukāyā aap ne
jāñ-balab pahle hī se thā jo to phir
tiir us par kyoñ chalāyā aap ne
pahle dāman se havā.eñ dī hameñ
ḳhuub phir dāman bachāyā aap ne
muntazir the ham qasīde ke liye
marsiya lekin sunāyā aap ne
ashk de kar muskurāhaT chhīn lī
phuul ko shabnam banāyā aap ne
ham to jo the haiñ vahī apnī kaho
kis ko paayā kyā gañvāyā aap ne
be-wajah dar khaTkhaTaya aap ne
so rahe the hum jagaya aap ne
jis jagah jhukne ko dil raazi na tha
kyon wahan sar ko jhukaya aap ne
jaan-balab pahle hi se tha jo to phir
tir us par kyon chalaya aap ne
pahle daman se hawaen di hamein
KHub phir daman bachaya aap ne
muntazir the hum qaside ke liye
marsiya lekin sunaya aap ne
ashk de kar muskurahaT chhin li
phul ko shabnam banaya aap ne
hum to jo the hain wahi apni kaho
kis ko paya kya ganwaya aap ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.