be-wajh un se tark-e-mulaqat ho gai
be-vaj.h un se tark-e-mulāqāt ho ga.ī
dushman jo chāhte the vahī baat ho ga.ī
har ik nigāh vaj.h-e-savālāt ho ga.ī
donoñ rahe ḳhamosh magar baat ho ga.ī
chilman uThā uThā ke girāte rahe jo vo
din ho gayā kabhī to kabhī raat ho ga.ī
ilzām-e-bevafā.ī kā detā hī kyā javāb
kuchh āñsuoñ kī aañkh se barsāt ho ga.ī
mujh se shab-e-firāq kā 'ālam na pūchhiye
jaise hazār saal kī ik raat ho ga.ī
ḳhafagī kā un kī haal kisī ko batā.eñ kyā
ahbāb pūchhte haiñ ki kyā baat ho ga.ī
hote hī kaise un kī tajallī se faizyāb
jab tāb-e-dīd nazr-e-hijābāt ho ga.ī
vo aa ga.e to itnī ḳhabar bhī nahīñ rahī
kab din guzar gayā 'razī' kab raat ho ga.ī
be-wajh un se tark-e-mulaqat ho gai
dushman jo chahte the wahi baat ho gai
har ek nigah wajh-e-sawalat ho gai
donon rahe KHamosh magar baat ho gai
chilman uTha uTha ke giraate rahe jo wo
din ho gaya kabhi to kabhi raat ho gai
ilzam-e-bewafai ka deta hi kya jawab
kuchh aansuon ki aankh se barsat ho gai
mujh se shab-e-firaq ka 'alam na puchhiye
jaise hazar sal ki ek raat ho gai
KHafagi ka un ki haal kisi ko bataen kya
ahbab puchhte hain ki kya baat ho gai
hote hi kaise un ki tajalli se faizyab
jab tab-e-did nazr-e-hijabaat ho gai
wo aa gae to itni KHabar bhi nahin rahi
kab din guzar gaya 'razi' kab raat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.