be-zabani zaban ho ke rahi
Interesting Fact
(7 July 1957)
be-zabānī zabān ho ke rahī
har nazar dāstān ho ke rahī
jis pe rakkhā kabhī qadam ham ne
vo zamīñ āsmān ho ke rahī
jise ḳhūn-e-jigar se sīñchā thā
vo tamannā javān ho ke rahī
rang laayā kisī kā jazb-e-ḳhulūs
vo nigah mehrbān ho ke rahī
maut pe kuchh na bas chalā us kā
zindagī be-nishān ho ke rahī
uzr dil ne hazār pesh kiye
vo nazar bad-gumān ho ke rahī
ham samajhte rahe use ik khel
zindagī imtihān ho ke rahī
un se milne kī aarzū 'tālib'
mere qālib meñ jaan ho ke rahī
be-zabani zaban ho ke rahi
har nazar dastan ho ke rahi
jis pe rakkha kabhi qadam hum ne
wo zamin aasman ho ke rahi
jise KHun-e-jigar se sincha tha
wo tamanna jawan ho ke rahi
rang laya kisi ka jazb-e-KHulus
wo nigah mehrban ho ke rahi
maut pe kuchh na bas chala us ka
zindagi be-nishan ho ke rahi
uzr dil ne hazar pesh kiye
wo nazar bad-guman ho ke rahi
hum samajhte rahe use ek khel
zindagi imtihan ho ke rahi
un se milne ki aarzu 'talib'
mere qalib mein jaan ho ke rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.