be-zabani zaban hoti hai
be-zabānī zabān hotī hai
ishq kī dāstān hotī hai
dil ko aayā hai phir kisī kā ḳhayāl
phir tamannā javān hotī hai
kaun pā.egā tāb-e-nazzāra
un kī abrū kamān hotī hai
kyā huā lab agar nahīñ hilte
aañkh ḳhud ik zabān hotī hai
jis ko kahte haiñ zindagī sab log
hasratoñ kā jahāñ hotī hai
un kā jalva huā hai pesh-e-nazar
justujū kāmrān hotī hai
be-zabani zaban hoti hai
ishq ki dastan hoti hai
dil ko aaya hai phir kisi ka KHayal
phir tamanna jawan hoti hai
kaun paega tab-e-nazzara
un ki abru kaman hoti hai
kya hua lab agar nahin hilte
aankh KHud ek zaban hoti hai
jis ko kahte hain zindagi sab log
hasraton ka jahan hoti hai
un ka jalwa hua hai pesh-e-nazar
justuju kaamran hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.