bebasi ke daur mein kya muskurana chhoD den
bebasī ke daur meñ kyā muskurānā chhoḌ deñ
tum nahīñ aa.e to ham sajde meñ aanā chhoḌ deñ
āñdhiyoñ kā ruḳh hamārī or hai be-shak rahe
ye nahīñ hogā ki ham dīpak jalānā chhoḌ deñ
ham ne apnī āstīnoñ ko khulā rahne diyā
ab hamāre saañp bhī to phusphusānā chhoḌ deñ
ye nahīñ hogā bhale hī jang chhiḌ jaa.e abhī
ham kisī ke ḳhauf se khānā kamānā chhoḌ deñ
ham zamāne se ḳhafā haiñ is kā ye matlab nahīñ
aap ke hāthoñ meñ ham saarā zamānā chhoḌ deñ
dushmanī yaarī meñ badlī hai hamārī aaj hī
ham tumheñ kyoñ aaj se hī āzmānā chhoḌ deñ
bebasi ke daur mein kya muskurana chhoD den
tum nahin aae to hum sajde mein aana chhoD den
aandhiyon ka ruKH hamari or hai be-shak rahe
ye nahin hoga ki hum dipak jalana chhoD den
hum ne apni aastinon ko khula rahne diya
ab hamare sanp bhi to phusphusana chhoD den
ye nahin hoga bhale hi jang chhiD jae abhi
hum kisi ke KHauf se khana kamana chhoD den
hum zamane se KHafa hain is ka ye matlab nahin
aap ke hathon mein hum sara zamana chhoD den
dushmani yari mein badli hai hamari aaj hi
hum tumhein kyon aaj se hi aazmana chhoD den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.