bech kar aankhen kamai raushni
bech kar āñkheñ kamā.ī raushnī
ye hameñ kis samt laa.ī raushnī
apnā sūraj ḳhud banā leñge magar
ham nahīñ leñge parā.ī raushnī
kī nigahbānī diye kī raat din
ḳhūn-e-dil sīñchā banā.ī raushnī
un ke aane kī ḳhabar jab bhī milī
ham ne raste meñ bichā.ī raushnī
ūñghtī dam toḌtī ik raat meñ
terī āñkhoñ ne dikhā.ī raushnī
nīlgūñ ko surḳh ham ne kar diyā
kal ufuq par yuuñ ghumā.ī raushnī
'ishq ne yuuñ ḳhāl-o-ḳhad chamkā diye
jaise rag-rag meñ samā.ī raushnī
apne man ko hī TaTolā raat din
apne andar hī jagā.ī raushnī
ek taarā bhar liyā thā maañg meñ
aur dāman meñ chhupā.ī raushnī
toḌ kar sapnoñ kī saarī bastiyāñ
kis ne malbe se uThā.ī raushnī
'ilm ke badle jahālat mol lī
haa.e tum ne bech khaa.ī raushnī
jab huī nazr-e-karam us chāñd kī
raushnī meñ phir nahā.ī raushnī
sach sunā hai shā'irī ilhām hai
she'r ne dil meñ jagā.ī raushnī
ham ne 'ambar' aane vāloñ ke liye
kitnī mushkil se bachā.ī raushnī
bech kar aankhen kamai raushni
ye hamein kis samt lai raushni
apna suraj KHud bana lenge magar
hum nahin lenge parai raushni
ki nigahbani diye ki raat din
KHun-e-dil sincha banai raushni
un ke aane ki KHabar jab bhi mili
hum ne raste mein bichai raushni
unghti dam toDti ek raat mein
teri aankhon ne dikhai raushni
nilgun ko surKH hum ne kar diya
kal ufuq par yun ghumai raushni
'ishq ne yun KHal-o-KHad chamka diye
jaise rag-rag mein samai raushni
apne man ko hi TaTola raat din
apne andar hi jagai raushni
ek tara bhar liya tha mang mein
aur daman mein chhupai raushni
toD kar sapnon ki sari bastiyan
kis ne malbe se uThai raushni
'ilm ke badle jahaalat mol li
hae tum ne bech khai raushni
jab hui nazr-e-karam us chand ki
raushni mein phir nahai raushni
sach suna hai sha'iri ilham hai
she'r ne dil mein jagai raushni
hum ne 'ambar' aane walon ke liye
kitni mushkil se bachai raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.