bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai
bechain dil hai phir bhī chehre pe dilkashī hai
muflis kī zindagī meñ jo kuchh hai qudratī hai
ehsās kā parinda jaagā hai mere andar
us kī 'atā se ḳhush huuñ dil mahv-e-bandagī hai
sahrāoñ se to pyāse lauTe nahīñ kabhī ham
dariyā ke biich meñ haiñ to pyaas lag rahī hai
ham sochte haiñ aksar kyuuñ hashr sā hai barpā
jazboñ meñ hai tarāvat fikroñ meñ sho.alagī hai
mausam kī hī tarah ab insāñ badal rahe haiñ
ye faiz-e-āgahī hai yā qasd-e-gumrahī hai
kis se kahūñ maiñ 'ahsan' roz-e-azal se ab tak
kuTiyoñ meñ tīrgī hai mahloñ meñ raushnī hai
bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai
muflis ki zindagi mein jo kuchh hai qudrati hai
ehsas ka parinda jaga hai mere andar
us ki 'ata se KHush hun dil mahw-e-bandagi hai
sahraon se to pyase lauTe nahin kabhi hum
dariya ke bich mein hain to pyas lag rahi hai
hum sochte hain aksar kyun hashr sa hai barpa
jazbon mein hai tarawat fikron mein shoalagi hai
mausam ki hi tarah ab insan badal rahe hain
ye faiz-e-agahi hai ya qasd-e-gumrahi hai
kis se kahun main 'ahsan' roz-e-azal se ab tak
kuTiyon mein tirgi hai mahlon mein raushni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.