bechain hun KHunaba-fishani mein ghira hun
bechain huuñ ḳhūnāba-fishānī meñ ghirā huuñ
bhīge hue lafzoñ ke ma.ānī meñ ghirā huuñ
jo peḌ pakaḌtā huuñ ukhaḌ jaatā hai jaḌ se
sailāb ke dhāre kī ravānī meñ ghirā huuñ
mafhūm kā sāhil to nazar aatā hai lekin
maiñ der se gardāb-e-ma.ānī meñ ghirā huuñ
ab log sunāte haiñ mujhe mere hī qisse
maiñ phail ke apnī hī kahānī meñ ghirā huuñ
amboh-e-mah-o-sāl kā kyā baar uThegā
Thahre hue lamhe kī girānī meñ ghirā huuñ
jis shaḳhs ko chāhā hai usī shaḳhs ke kāran
'zulfī' maiñ kisī karb-e-bayānī meñ ghirā huuñ
bechain hun KHunaba-fishani mein ghira hun
bhige hue lafzon ke maani mein ghira hun
jo peD pakaDta hun ukhaD jata hai jaD se
sailab ke dhaare ki rawani mein ghira hun
mafhum ka sahil to nazar aata hai lekin
main der se gardab-e-maani mein ghira hun
ab log sunate hain mujhe mere hi qisse
main phail ke apni hi kahani mein ghira hun
amboh-e-mah-o-sal ka kya bar uThega
Thahre hue lamhe ki girani mein ghira hun
jis shaKHs ko chaha hai usi shaKHs ke karan
'zulfi' main kisi karb-e-bayani mein ghira hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 537)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.