bechainiyon ke shor ka ambar dekh kar
bechainiyoñ ke shor kā ambār dekh kar
ghar-bār yaad aa gayā bāzār dekh kar
shohrat milī to dost bhī aġhyār ban ga.e
patthar taḌap uThe mujhe phaldār dekh kar
ik gaam par hai zindagī ik gaam par hai maut
maiñ Dar gayā huuñ ziist kī raftār dekh kar
saare suḳhanvaroñ se alag hai mirā mizāj
'shahroz' she'r kahtā hai me'yār dekh kar
bechainiyon ke shor ka ambar dekh kar
ghar-bar yaad aa gaya bazar dekh kar
shohrat mili to dost bhi aghyar ban gae
patthar taDap uThe mujhe phaldar dekh kar
ek gam par hai zindagi ek gam par hai maut
main Dar gaya hun zist ki raftar dekh kar
sare suKHanwaron se alag hai mera mizaj
'shahroz' she'r kahta hai me'yar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.