beDi ye mere panw mein pahna to rahe ho
beḌī ye mire paañv meñ pahnā to rahe ho
phir ahd-e-ḳhudī toḌ ke tum jā to rahe ho
palkoñ kī muñDeroñ pe parindoñ ko uḌaao
taslīm kiyā tum mujhe samjhā to rahe ho
pachhtāvā na ho kal ye qadam soch ke lenā
jazbāt meñ ulfat kī qasam khā to rahe ho
samjhāyā thā kal kitnā magar baaz na aa.e
kyā hogā abhī maanā ki pachhtā to rahe ho
rahne bhī abhī dījiye ashkoñ kā takalluf
jab jānte ho dil pe sitam Dhā to rahe ho
ab ek na.e tarz-e-rifāqat pe amal ho
tum biich meñ logoñ ke bhī tanhā to rahe ho
kal Thokaroñ meñ jag kī kahīñ chhoḌ na denā
ik dard-zada shaḳhs ko apnā to rahe ho
insān kabhī rizq se bhī sair huā hai
taqdīr meñ thā jitnā likhā pā to rahe ho
is meñ bhī koī ramz koī falsafa hogā
'hasrat' jī abhī jhuum ke tum gā to rahe ho
beDi ye mere panw mein pahna to rahe ho
phir ahd-e-KHudi toD ke tum ja to rahe ho
palkon ki munDeron pe parindon ko uDao
taslim kiya tum mujhe samjha to rahe ho
pachhtawa na ho kal ye qadam soch ke lena
jazbaat mein ulfat ki qasam kha to rahe ho
samjhaya tha kal kitna magar baz na aae
kya hoga abhi mana ki pachhta to rahe ho
rahne bhi abhi dijiye ashkon ka takalluf
jab jaante ho dil pe sitam Dha to rahe ho
ab ek nae tarz-e-rifaqat pe amal ho
tum bich mein logon ke bhi tanha to rahe ho
kal Thokaron mein jag ki kahin chhoD na dena
ek dard-zada shaKHs ko apna to rahe ho
insan kabhi rizq se bhi sair hua hai
taqdir mein tha jitna likha pa to rahe ho
is mein bhi koi ramz koi falsafa hoga
'hasrat' ji abhi jhum ke tum ga to rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.