begana-e-manzil wo nahin rahguzar mein
begāna-e-manzil vo nahīñ rāhguzar meñ
jis ke liye ārām hai ālām safar meñ
rakkhe na basīrat kā tavāzun jo nazar meñ
DhūñDegā faqat aib hī vo kār-e-hunar meñ
girdāb se laḌte haiñ jo girdāb ke ghar meñ
sāhil unheñ miltā hai samundar ke safar meñ
aa.ī haiñ taḳhayyul ke do-āba se havā.eñ
tūfāñ jo subuk-sair hai dariyā-e-hunar meñ
yuuñ dard kā sūraj mirī rag rag meñ samāyā
garmī-e-vafā phail ga.ī dil ke khañDar meñ
ḳhalvat ko tirī yaad kī purvā.ī jo bhaa.ī
phūle hue gulzār kā manzar hai nazar meñ
har jins-e-girāñ-qadr kā ehsās jinheñ hai
rakhte haiñ vahī dil kā lahū dīda-e-tar meñ
ġhunche jo ġham-e-hijr ke mausam ne khilā.e
misl-e-gul-e-shādāb mahakte haiñ jigar meñ
vo log ujāle ke nigah-dār kahāñ haiñ
sirf aaya nazar daaġh jinheñ rū-e-qamar meñ
ai kushta-e-ummīd na jā paas tū us ke
pattoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ bāñjh shajar meñ
vallāh mohabbat kā bharam hai to unhīñ se
badnām-e-zamāna jo haiñ duniyā kī nazar meñ
āshufta-mizājī kā bhī sāmāñ ise kahiye
vo ātish-e-ḳhāmosh jo ḳhufta hai sharar meñ
kuchh garmī-e-bāzār-e-vafā hai to unhīñ se
saudā-e-junūñ-ḳhez liye jo bhī haiñ sar meñ
hushiyār-o-ḳhabar-dār sar-e-rāh musāfir
aaseb kā ḳhatra bhī hai pariyoñ ke nagar meñ
zulmat hī nahīñ ḳhāna-e-iflās meñ 'nādim'
iḳhlās-o-sharāfat kā ujālā bhī hai ghar meñ
begana-e-manzil wo nahin rahguzar mein
jis ke liye aaram hai aalam safar mein
rakkhe na basirat ka tawazun jo nazar mein
DhunDega faqat aib hi wo kar-e-hunar mein
girdab se laDte hain jo girdab ke ghar mein
sahil unhen milta hai samundar ke safar mein
aai hain taKHayyul ke do-aba se hawaen
tufan jo subuk-sair hai dariya-e-hunar mein
yun dard ka suraj meri rag rag mein samaya
garmi-e-wafa phail gai dil ke khanDar mein
KHalwat ko teri yaad ki purwai jo bhai
phule hue gulzar ka manzar hai nazar mein
har jins-e-giran-qadr ka ehsas jinhen hai
rakhte hain wahi dil ka lahu dida-e-tar mein
ghunche jo gham-e-hijr ke mausam ne khilae
misl-e-gul-e-shadab mahakte hain jigar mein
wo log ujale ke nigah-dar kahan hain
sirf aaya nazar dagh jinhen ru-e-qamar mein
ai kushta-e-ummid na ja pas tu us ke
patton ke siwa kuchh bhi nahin banjh shajar mein
wallah mohabbat ka bharam hai to unhin se
badnam-e-zamana jo hain duniya ki nazar mein
aashufta-mizaji ka bhi saman ise kahiye
wo aatish-e-KHamosh jo KHufta hai sharar mein
kuchh garmi-e-bazar-e-wafa hai to unhin se
sauda-e-junun-KHez liye jo bhi hain sar mein
hushiyar-o-KHabar-dar sar-e-rah musafir
aaseb ka KHatra bhi hai pariyon ke nagar mein
zulmat hi nahin KHana-e-iflas mein 'nadim'
iKHlas-o-sharafat ka ujala bhi hai ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.