begana mile hai jab mile hain
begāna mile hai jab mile haiñ
yāroñ se hameñ bahut gile haiñ
yaad aa.e haiñ dostoñ ke mele
jab phuul chaman chaman khile haiñ
shākī huuñ maiñ jin kī be-ruḳhī kā
aksar vahī be-talab mile haiñ
ye daaġh ye zaḳhm be-kasī ke
shāyad tirī chaah ke sile haiñ
is tarah chhuTī ki phir na aa.ī
ham ko tirī yaad se gile haiñ
guzre haiñ nazar bachā ke 'shafqat'
vo raah meñ jab kabhī mile haiñ
begana mile hai jab mile hain
yaron se hamein bahut gile hain
yaad aae hain doston ke mele
jab phul chaman chaman khile hain
shaki hun main jin ki be-ruKHi ka
aksar wahi be-talab mile hain
ye dagh ye zaKHm be-kasi ke
shayad teri chah ke sile hain
is tarah chhuTi ki phir na aai
hum ko teri yaad se gile hain
guzre hain nazar bacha ke 'shafqat'
wo rah mein jab kabhi mile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.