behis junun hai waqt ki raftar dekh kar
behis junūñ hai vaqt kī raftār dekh kar
rotā hai dil fasurdagī-e-dār dekh kar
afsurdagī hai parda-e-amboh-e-imbisāt
kyoñ muztarib ho hālat-e-bīmār dekh kar
sahrā-e-dard meñ koī apnā to mil gayā
talve machal ga.e rah-e-pur-ḳhār dekh kar
apnoñ ne jab se pher liyā ham se muñh 'payām'
ham jī rahe haiñ sūrat-e-aġhyār dekh kar
behis junun hai waqt ki raftar dekh kar
rota hai dil fasurdagi-e-dar dekh kar
afsurdagi hai parda-e-amboh-e-imbisat
kyon muztarib ho haalat-e-bimar dekh kar
sahra-e-dard mein koi apna to mil gaya
talwe machal gae rah-e-pur-KHar dekh kar
apnon ne jab se pher liya hum se munh 'payam'
hum ji rahe hain surat-e-aghyar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.