Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

beja takallufat mein kuchh bhi nahin bacha

Sajid Raheem

beja takallufat mein kuchh bhi nahin bacha

Sajid Raheem

MORE BYSajid Raheem

    bejā takallufāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    had darja ehtiyāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    ab tum hamāre haath ko aa.e ho thāmne

    ab to hamāre haath meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    zinda huuñ ek ḳhvāb aur ik aas ke tufail

    varna to is hayāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    malbe sameTne meñ guzārī tamām 'umr

    mā'mūl-e-hādsāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    science ne lā-shu'ūr parteñ bhī khol diiñ

    paḌhne ko nafsiyāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    pesh-e-nazar rumūz-e-virāsat na rakh sake

    had-darja iltifāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    ab to baat aur hai varna bichhaḌte vaqt

    lagtā thā kā.enāt meñ kuchh bhī nahīñ bachā

    beja takallufat mein kuchh bhi nahin bacha

    had darja ehtiyat mein kuchh bhi nahin bacha

    ab tum hamare hath ko aae ho thamne

    ab to hamare hath mein kuchh bhi nahin bacha

    zinda hun ek KHwab aur ek aas ke tufail

    warna to is hayat mein kuchh bhi nahin bacha

    malbe sameTne mein guzari tamam 'umr

    ma'mul-e-hadsat mein kuchh bhi nahin bacha

    science ne la-shu'ur ki parten bhi khol din

    paDhne ko nafsiyat mein kuchh bhi nahin bacha

    pesh-e-nazar rumuz-e-wirasat na rakh sake

    had-darja iltifat mein kuchh bhi nahin bacha

    ab ki to baat aur hai warna bichhaDte waqt

    lagta tha kaenat mein kuchh bhi nahin bacha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now