bekar gai hai meri taqdir hamesha
bekār ga.ī hai mirī taqdīr hamesha
ḳhāmosh rahī hai tirī tasvīr hamesha
maiñ kartā rahā aish kī tadbīr hamesha
aur ġham mujhe detī rahī taqdīr hamesha
gardan meñ rahā tauq-e-gulū-gīr hamesha
aur paañv meñ dīvāne ke zanjīr hamesha
in āñkhoñ ne dekhī tirī tanvīr hamesha
dil meñ rahī zālim tirī tasvīr hamesha
majrūh nazar aatī hai har ek tamanna
kyā dil pe mire chaltī hai shamshīr hamesha
aalam meñ vo lazzat-kash-e-bedād haiñ ham bhī
dil apnā rahā muntazir-e-tīr hamesha
hone na diyā us ne kabhī dast-basāmāñ
dushman hī rahā ye falak-e-pīr hamesha
āmāda-e-be-dād rahe aaTh pahar vo
fariyād kī ulTī rahī tāsīr hamesha
hāsil ho mujhe mulk jo iqlīm-e-suḳhan kī
sarmāya-e-nāzish ho ye jāgīr hamesha
bar aa.iiñ murādeñ mirī 'mas.ūd' ba-diqqat
puure hue armān batā ḳhair hamesha
bekar gai hai meri taqdir hamesha
KHamosh rahi hai teri taswir hamesha
main karta raha aish ki tadbir hamesha
aur gham mujhe deti rahi taqdir hamesha
gardan mein raha tauq-e-gulu-gir hamesha
aur panw mein diwane ke zanjir hamesha
in aankhon ne dekhi teri tanwir hamesha
dil mein rahi zalim teri taswir hamesha
majruh nazar aati hai har ek tamanna
kya dil pe mere chalti hai shamshir hamesha
aalam mein wo lazzat-kash-e-bedad hain hum bhi
dil apna raha muntazir-e-tir hamesha
hone na diya us ne kabhi dast-basaman
dushman hi raha ye falak-e-pir hamesha
aamada-e-be-dad rahe aaTh pahar wo
fariyaad ki ulTi rahi tasir hamesha
hasil ho mujhe mulk jo iqlim-e-suKHan ki
sarmaya-e-nazish ho ye jagir hamesha
bar aain muraden meri 'masud' ba-diqqat
pure hue arman bata KHair hamesha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.