bekar jiya karte ho mar kyon nahin jate
bekār jiyā karte ho mar kyoñ nahīñ jaate
jab TuuT chuke ho to bikhar kyoñ nahīñ jaate
mā'lūm hai ho jā.egā ġharqāb safīna
TuuTī huī kashtī se utar kyoñ nahīñ jaate
phūloñ kī tamanna hai agar dil meñ zarā bhī
hañste hue kāñToñ se guzar kyoñ nahīñ jaate
firqoñ meñ baTe ho kahīñ zātoñ meñ baTe ho
hālāt ke maare ho sudhar kyoñ nahīñ chāhte
bezār agar 'ahd-e-vafā se hai tabī'at
aisā karo vā'de se mukar kyoñ nahīñ jaate
'fārūq' ye kyā haal banā rakkhā hai tum ne
ab raat guzarne ko hai ghar kyoñ nahīñ jaate
bekar jiya karte ho mar kyon nahin jate
jab TuT chuke ho to bikhar kyon nahin jate
ma'lum hai ho jaega gharqab safina
TuTi hui kashti se utar kyon nahin jate
phulon ki tamanna hai agar dil mein zara bhi
hanste hue kanTon se guzar kyon nahin jate
firqon mein baTe ho kahin zaton mein baTe ho
haalat ke mare ho sudhar kyon nahin chahte
bezar agar 'ahd-e-wafa se hai tabi'at
aisa karo wa'de se mukar kyon nahin jate
'faruq' ye kya haal bana rakkha hai tum ne
ab raat guzarne ko hai ghar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.