bekar na jaengi ab waqt ki taqriren
bekar na jaengi ab waqt ki taqriren
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
bekār na jā.eñgī ab vaqt kī taqrīreñ
zehnoñ pe ubhar aa.iiñ kuchh fikr kī tahrīreñ
ai ahl-e-sitam sun lo paiġhām-e-taġhayyur haiñ
zindān-e-taḳhayyul meñ bajtī huī zanjīreñ
kab hoñgī ḳhudā jaane dīvāroñ pe āvezāñ
ehsās-e-mohabbat kī bikhrī huī tasvīreñ
har shaḳhs kī ġhaflat ko ab sāmne le aa.eñ
simTī huī tadbīreñ Thahrī huī taqdīreñ
jo dil kā lahū pī kar barsoñ meñ palīñ 'rāje'
tārīk fazāoñ par jhapTeñ to vo tanvīreñ
bekar na jaengi ab waqt ki taqriren
zehnon pe ubhar aain kuchh fikr ki tahriren
ai ahl-e-sitam sun lo paigham-e-taghayyur hain
zindan-e-taKHayyul mein bajti hui zanjiren
kab hongi KHuda jaane diwaron pe aawezan
ehsas-e-mohabbat ki bikhri hui taswiren
har shaKHs ki ghaflat ko ab samne le aaen
simTi hui tadbiren Thahri hui taqdiren
jo dil ka lahu pi kar barson mein palin 'raje'
tarik fazaon par jhapTen to wo tanwiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.