bekal hai mukh nigah mein boson ki pyas hai
bekal hai mukh nigāh meñ bosoñ kī pyaas hai
kuchh to batā tū kis se bichhaḌ kar udaas hai
tasvīr meñ jhukā hai nadī par kadam kā peḌ
paanī meñ pairtā huā but be-libās hai
terī qasam ki tujh ko banā kar matā-e-zīst
ab koī aarzū hai na ab koī aas hai
khultī hai roz shaam ko ik champa.ī dhanak
gaañv ke us makāñ pe jo dariyā ke paas hai
kamre kī shelf par hai sajī budh kī mūrtī
gul-dān meñ chunī huī jañgal kī ghaas hai
dekhūñ tujhe to ruuh kā sahrā sulag uThe
chāhūñ tujhe to terī lagan meñ miThās hai
juuḌe kī qaus meñ guñdhe kuchh māltī ke phuul
saaḌī kī silvaToñ meñ lavandar kī baas hai
bekal hai mukh nigah mein boson ki pyas hai
kuchh to bata tu kis se bichhaD kar udas hai
taswir mein jhuka hai nadi par kadam ka peD
pani mein pairta hua but be-libas hai
teri qasam ki tujh ko bana kar mata-e-zist
ab koi aarzu hai na ab koi aas hai
khulti hai roz sham ko ek champai dhanak
ganw ke us makan pe jo dariya ke pas hai
kamre ki shelf par hai saji budh ki murti
gul-dan mein chuni hui jangal ki ghas hai
dekhun tujhe to ruh ka sahra sulag uThe
chahun tujhe to teri lagan mein miThas hai
juDe ki qaus mein gundhe kuchh malti ke phul
saDi ki silwaTon mein lawandar ki bas hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 698)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.