bekasi ka ajib aalam hai
bekasī kā ajiib aalam hai
ham-navā hai na koī ham-dam hai
hāl-e-dil apnā maiñ kahūñ kis se
rāz-dāñ hai na koī mahram hai
jism hai chūr-chūr zaḳhmoñ se
jis kā darmāñ na koī marham hai
kuchh batāo to mājrā kyā hai
hoñT hañste haiñ aañkh pur-nam hai
ham bhī pahuñcheñge apnī manzil par
azm-e-rāsiḳh hai sa.i-e-paiham hai
gulsitāñ kā ma.aal kyā hogā
bāġhbāñ kā mizāj barham hai
koī samjhe agar to kyā samjhe
un kī har ek baat mub.ham hai
zindagī kahtī hai jise duniyā
yā to sho.ala hai yā vo shabnam hai
tīrgī baḌh rahī hai ai 'anjum'
sab charāġhoñ kī lau jo maddham hai
bekasi ka ajib aalam hai
ham-nawa hai na koi ham-dam hai
haal-e-dil apna main kahun kis se
raaz-dan hai na koi mahram hai
jism hai chur-chur zaKHmon se
jis ka darman na koi marham hai
kuchh batao to majra kya hai
honT hanste hain aankh pur-nam hai
hum bhi pahunchenge apni manzil par
azm-e-rasiKH hai sai-e-paiham hai
gulsitan ka maal kya hoga
baghban ka mizaj barham hai
koi samjhe agar to kya samjhe
un ki har ek baat mubham hai
zindagi kahti hai jise duniya
ya to shoala hai ya wo shabnam hai
tirgi baDh rahi hai ai 'anjum'
sab charaghon ki lau jo maddham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.