betab hamara zauq-e-nazar gar un ke muqabil aa jae
'betāb' hamārā zauq-e-nazar gar un ke muqābil aa jaa.e
vo parda-nashīñ hoñ mahmil meñ to sāmne mahmil aa jaa.e
maiñ rāh-e-talab meñ sargardāñ is aas pe yaañ tak pahuñchā huuñ
is gaam pe manzil aa jaa.e us gaam pe manzil aa jaa.e
ai kātib-e-qismat ye to batā kyā ye hī hai taqdīr mirī
ik mushkil se chhuTkārā ho to dūsrī mushkil aa jaa.e
yuuñ pyaar bharī nazroñ se mujhe dekho na ḳhudārā baaz aao
ilzām na denā phir mujh ko gar tum pe mirā dil aa jaa.e
'betāb' ye koī jiinā hai ham jaise ġham ke māroñ kā
har lamha yahī ik ḳhatra rahe kab jaane qātil aa jaa.e
'betab' hamara zauq-e-nazar gar un ke muqabil aa jae
wo parda-nashin hon mahmil mein to samne mahmil aa jae
main rah-e-talab mein sargardan is aas pe yan tak pahuncha hun
is gam pe manzil aa jae us gam pe manzil aa jae
ai katib-e-qismat ye to bata kya ye hi hai taqdir meri
ek mushkil se chhuTkara ho to dusri mushkil aa jae
yun pyar bhari nazron se mujhe dekho na KHudara baz aao
ilzam na dena phir mujh ko gar tum pe mera dil aa jae
'betab' ye koi jina hai hum jaise gham ke maron ka
har lamha yahi ek KHatra rahe kab jaane qatil aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.