betab-o-muztarib nazar aati hain aandhiyan
betāb-o-muztarib nazar aatī haiñ āñdhiyāñ
garmī dikhā rahī hai mirī ḳhāk-e-āshiyāñ
uf vo nigāh-e-nāz kī afsūñ-tarāziyāñ
rag rag meñ dauḌtī haiñ mohabbat kī bijliyāñ
uf vo ḳhirām-e-nāz kī mahshar-ḳhirāmiyāñ
pāmāl-e-ārzū huiiñ kitnī javāniyāñ
badlā huā zarūr hai andāz-e-guftugū
chhuptī nahīñ haiñ aap ke lahje kī talḳhiyāñ
saa.e meñ zulf-e-yār ke guzrī hai zindagī
jhelī kahāñ haiñ aap ne zindāñ kī saḳhtiyāñ
jab tak ġham-o-alam ne sahārā nahīñ diyā
dekhīñ kahāñ hayāt kī ham ne tajalliyāñ
'faizī' hai koī mujh sā zamāne meñ bad-nasīb
mere hī dost karte haiñ merī burā.iyāñ
betab-o-muztarib nazar aati hain aandhiyan
garmi dikha rahi hai meri KHak-e-ashiyan
uf wo nigah-e-naz ki afsun-taraaziyan
rag rag mein dauDti hain mohabbat ki bijliyan
uf wo KHiram-e-naz ki mahshar-KHiramiyan
pamal-e-arzu huin kitni jawaniyan
badla hua zarur hai andaz-e-guftugu
chhupti nahin hain aap ke lahje ki talKHiyan
sae mein zulf-e-yar ke guzri hai zindagi
jheli kahan hain aap ne zindan ki saKHtiyan
jab tak gham-o-alam ne sahaara nahin diya
dekhin kahan hayat ki hum ne tajalliyan
'faizi' hai koi mujh sa zamane mein bad-nasib
mere hi dost karte hain meri buraiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.