bewa man ko KHun ke aansu rulate hain charagh
beva maañ ko ḳhuun ke aañsū rulāte haiñ charāġh
chhoḌ kar basta kitābeñ jab kamāte haiñ charāġh
sone chāñdī tāñbe pītal se banānā fan nahīñ
ahl-e-fan haiñ jo ki miTTī se banāte haiñ charāġh
aaj bhī mere vatan ke chhoTe chhoTe gaañv meñ
shaam hote hī baḌe būḌhe lagāte haiñ charāġh
kashtiyāñ raste se haT jaa.eñ na tūfāñ ke sabab
ham añdheroñ meñ lab-e-sāhil jalāte haiñ charāġh
devtā bhī aartī kā ḳhuub lete haiñ maza
husn vaale thāliyoñ meñ jab sajāte haiñ charāġh
be-tahāsha jazba-e-ulfat meñ lag jaatī hai aag
vo hinā.ī dast-e-nāzuk se jalāte haiñ charāġh
tan ke ujle man ke kaale log ye karte haiñ kaam
ḳhud nahīñ rakhte to auroñ ke bujhāte haiñ charāġh
vaqt-e-ruḳhsat ashk-e-larzīda se palkoñ pe 'farāz'
sub.h-dam tāroñ ke jaise jhilmilāte haiñ charāġh
bewa man ko KHun ke aansu rulate hain charagh
chhoD kar basta kitaben jab kamate hain charagh
sone chandi tanbe pital se banana fan nahin
ahl-e-fan hain jo ki miTTi se banate hain charagh
aaj bhi mere watan ke chhoTe chhoTe ganw mein
sham hote hi baDe buDhe lagate hain charagh
kashtiyan raste se haT jaen na tufan ke sabab
hum andheron mein lab-e-sahil jalate hain charagh
dewta bhi aarti ka KHub lete hain maza
husn wale thaaliyon mein jab sajate hain charagh
be-tahasha jazba-e-ulfat mein lag jati hai aag
wo hinai dast-e-nazuk se jalate hain charagh
tan ke ujle man ke kale log ye karte hain kaam
KHud nahin rakhte to auron ke bujhate hain charagh
waqt-e-ruKHsat ashk-e-larzida se palkon pe 'faraaz'
subh-dam taron ke jaise jhilmilate hain charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.