bewafa main bhi sahi tujh mein wafa bhi to nahin
bewafa main bhi sahi tujh mein wafa bhi to nahin
Anwar Husain Anwar
MORE BYAnwar Husain Anwar
bevafā maiñ bhī sahī tujh meñ vafā bhī to nahīñ
zindagī tujh se magar mujh ko gila bhī to nahīñ
mujh se behtar koī mil jaa.e tujhe mumkin hai
mujh ko tujh jaisā abhī koī milā bhī to nahīñ
kyoñ na bhaTkūñ maiñ ki sunsānoñ bharī vaadī meñ
jo ubhāre mujhe ab aisī sadā bhī to nahīñ
jab ye ummīd thī jo māñgūñgā hogā maqbūl
haath bhī uTh na sake lab pe duā bhī to nahīñ
maiñ bhī ḳhāmosh rahā mujh ko hai ehsās magar
aur kahtā bhī kyā kuchh tum ne kahā bhī to nahīñ
ab parakh merī vafāoñ kī bhalā kaise ho
ab vo paimāna ho kyā tujh meñ jafā bhī to nahīñ
ham ko auroñ meñ bahut aib nazar aatā hai
jo thī is desh meñ pahle vo fazā bhī to nahīñ
kam nahīñ mard to aurat bhī kahāñ kuchh kam hai
is meñ gar sharm nahīñ us meñ hayā bhī to nahīñ
tujh se ai dost mujhe aur ho ummīd bhī kyā
haq-shanāsī kā vo ab daur rahā bhī to nahīñ
ek muddat se tarastī haiñ nigāheñ us ko
chhoḌ kar mujh ko magar duur gayā bhī to nahīñ
DhūñDhnā bhī hai use umr kī had tak 'anvar'
aur DhūñDūñ bhī kahāñ koī pata bhī to nahīñ
bewafa main bhi sahi tujh mein wafa bhi to nahin
zindagi tujh se magar mujh ko gila bhi to nahin
mujh se behtar koi mil jae tujhe mumkin hai
mujh ko tujh jaisa abhi koi mila bhi to nahin
kyon na bhaTkun main ki sunsanon bhari wadi mein
jo ubhaare mujhe ab aisi sada bhi to nahin
jab ye ummid thi jo mangunga hoga maqbul
hath bhi uTh na sake lab pe dua bhi to nahin
main bhi KHamosh raha mujh ko hai ehsas magar
aur kahta bhi kya kuchh tum ne kaha bhi to nahin
ab parakh meri wafaon ki bhala kaise ho
ab wo paimana ho kya tujh mein jafa bhi to nahin
hum ko auron mein bahut aib nazar aata hai
jo thi is desh mein pahle wo faza bhi to nahin
kam nahin mard to aurat bhi kahan kuchh kam hai
is mein gar sharm nahin us mein haya bhi to nahin
tujh se ai dost mujhe aur ho ummid bhi kya
haq-shanasi ka wo ab daur raha bhi to nahin
ek muddat se tarasti hain nigahen us ko
chhoD kar mujh ko magar dur gaya bhi to nahin
DhunDhna bhi hai use umr ki had tak 'anwar'
aur DhunDun bhi kahan koi pata bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.