bewafa se gala kiya na gaya
bevafā se galā kiyā na gayā
lutf-e-ġham be-maza kiyā na gayā
laakh chāhā bane vo merā ghar
sang ko aa.ina kiyā na gayā
us ne ġham hī diye mohabbat meñ
pās-e-ahd-e-vafā kiyā na gayā
raat bhar jaage intizār kiyā
us se vā'da vafā kiyā na gayā
vo judā ham se ho gayā lekin
us ko dil se judā kiyā na gayā
ishq meñ ġham sahe magar phir bhī
ishq se dil burā kiyā na gayā
baad muddat ke jab mile us se
koī shikva gila kiyā na gayā
but tarāshe hazār aazar ne
but ko ġham-āshnā kiyā na gayā
va.az kyā kyā diye na vaa.iz ne
rind ko pārsā kiyā na gayā
jaan de dī kisī ke ġham meñ 'zafar'
aur is ke sivā kiyā na gayā
bewafa se gala kiya na gaya
lutf-e-gham be-maza kiya na gaya
lakh chaha bane wo mera ghar
sang ko aaina kiya na gaya
us ne gham hi diye mohabbat mein
pas-e-ahd-e-wafa kiya na gaya
raat bhar jage intizar kiya
us se wa'da wafa kiya na gaya
wo juda hum se ho gaya lekin
us ko dil se juda kiya na gaya
ishq mein gham sahe magar phir bhi
ishq se dil bura kiya na gaya
baad muddat ke jab mile us se
koi shikwa gila kiya na gaya
but tarashe hazar aazar ne
but ko gham-ashna kiya na gaya
waz kya kya diye na waiz ne
rind ko parsa kiya na gaya
jaan de di kisi ke gham mein 'zafar'
aur is ke siwa kiya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.