bewafa tha phir bhi duniya uski shaidai hui
bevafā thā phir bhī duniyā us kī shaidā.ī huī
ġham to ye hai bas mire hisse meñ tanhā.ī huī
roz-e-mahshar jis ghaḌī aaya jo naama haath meñ
haa.e kaisī us bharī mahfil meñ rusvā.ī huī
mubtalā-e-zo.am-e-shohrat hasrat-e-nām-o-numūd
ho gayā insān kaisā salb bīnā.ī huī
munkir-e-insān ko duniyā samajhtī hai haqīr
ājizī kī is jahāñ meñ kab pazīrā.ī huī
badliyoñ kī oT meñ yuuñ chhup gayā māh-e-tamām
jaise dul.han chehra Dhak baiThī ho sharmā.ī huī
merī har ik baat kā bas ek matlab hai 'anā'
jis ke matlab chaar hoñ aisī na goyā.ī huī
bewafa tha phir bhi duniya us ki shaidai hui
gham to ye hai bas mere hisse mein tanhai hui
roz-e-mahshar jis ghaDi aaya jo nama hath mein
hae kaisi us bhari mahfil mein ruswai hui
mubtala-e-zoam-e-shohrat hasrat-e-nam-o-numud
ho gaya insan kaisa salb binai hui
munkir-e-insan ko duniya samajhti hai haqir
aajizi ki is jahan mein kab pazirai hui
badliyon ki oT mein yun chhup gaya mah-e-tamam
jaise dulhan chehra Dhak baiThi ho sharmai hui
meri har ek baat ka bas ek matlab hai 'ana'
jis ke matlab chaar hon aisi na goyai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.