bewafai ka haq ada kar do
bevafā.ī kā haq adā kar do
zaḳhm phir se koī atā kar do
qaid meñ huuñ tumhārī yādoñ ke
ho sake to mujhe rihā kar do
shaam hone ko hai chale aao
aaj kī shab ko ḳhushnumā kar do
dil liyā hai to jaan bhī le lo
ye karam bhī ḳhudā ḳhudā kar do
bhuul kar shikve aur gile saare
ishq kī phir se ibtidā kar do
gulshan-e-zīst meñ hai vīrānī
aa kar is ko harā-bharā kar do
aib-jūī jo kar rahā hai 'samar'
rū-ba-rū us ke aa.ina kar do
bewafai ka haq ada kar do
zaKHm phir se koi ata kar do
qaid mein hun tumhaari yaadon ke
ho sake to mujhe riha kar do
sham hone ko hai chale aao
aaj ki shab ko KHushnuma kar do
dil liya hai to jaan bhi le lo
ye karam bhi KHuda KHuda kar do
bhul kar shikwe aur gile sare
ishq ki phir se ibtida kar do
gulshan-e-zist mein hai virani
aa kar is ko hara-bhara kar do
aib-jui jo kar raha hai 'samar'
ru-ba-ru us ke aaina kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.