bewafai ka wo dastur hue baiThe hain
bevafā.ī kā vo dastūr hue baiThe haiñ
ishq meñ ham haiñ ki bas chuur hue baiThe haiñ
ham ne maanā thā jinheñ shams-o-qamar se baḌh kar
vaqt aaya to vo be-nūr hue baiThe haiñ
dil kī dhaḌkan meñ jinheñ ham ne basā rakkhā hai
ham se vo duur bahut duur hue baiThe haiñ
ik nazar dekh le ai jān-e-tamannā ham ko
ham tire ishq meñ masrūr hue baiThe haiñ
vo na aa.e jo shab-e-va.ada to bhejā hai payām
ḳhat meñ likkhā hai ki majbūr hue baiThe haiñ
the jo sīrat meñ kabhī sādgī kā ā.īna
aa.ina dekh ke maġhrūr hue baiThe haiñ
bewafai ka wo dastur hue baiThe hain
ishq mein hum hain ki bas chur hue baiThe hain
hum ne mana tha jinhen shams-o-qamar se baDh kar
waqt aaya to wo be-nur hue baiThe hain
dil ki dhaDkan mein jinhen hum ne basa rakkha hai
hum se wo dur bahut dur hue baiThe hain
ek nazar dekh le ai jaan-e-tamanna hum ko
hum tere ishq mein masrur hue baiThe hain
wo na aae jo shab-e-wada to bheja hai payam
KHat mein likkha hai ki majbur hue baiThe hain
the jo sirat mein kabhi sadgi ka aaina
aaina dekh ke maghrur hue baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.