bezar KHud na hote agar zindagi se hum
bezār ḳhud na hote agar zindagī se ham
ai zabt-e-ġham fareb na khāte kisī se ham
thā arsa-e-hayāt mohabbat meñ ham pe tang
karte rahe nibāh magar zindagī se ham
shāyad nigāh-e-lutf hamārī taraf bhī ho
yuuñ tak rahe haiñ aaj unheñ be-kasī se ham
le aa.ī be-ḳhudī ye hameñ kis maqām par
ma.alūm ho rahe haiñ jahāñ ajnabī se ham
jab tak na de najāt ġham-e-zindagī hameñ
laḌte raheñge kashmakash-e-zindagī se ham
ai bevafā vafā kā hamārī na de javāb
tujh ko samajh rahe haiñ tirī be-ruḳhī se ham
'hasrat' ko tū ne rāh-e-mohabbat meñ kho diyā
baaz aa.e ḳhizr-e-rāh tirī rahbarī se ham
bezar KHud na hote agar zindagi se hum
ai zabt-e-gham fareb na khate kisi se hum
tha arsa-e-hayat mohabbat mein hum pe tang
karte rahe nibah magar zindagi se hum
shayad nigah-e-lutf hamari taraf bhi ho
yun tak rahe hain aaj unhen be-kasi se hum
le aai be-KHudi ye hamein kis maqam par
malum ho rahe hain jahan ajnabi se hum
jab tak na de najat gham-e-zindagi hamein
laDte rahenge kashmakash-e-zindagi se hum
ai bewafa wafa ka hamari na de jawab
tujh ko samajh rahe hain teri be-ruKHi se hum
'hasrat' ko tu ne rah-e-mohabbat mein kho diya
baz aae KHizr-e-rah teri rahbari se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.